Yeh shayari ek deep aur intense feeling ko vyakt karne ke liye likhi gayi hai. Isme ek vyakti apne pyaar ya kisi khaas insaan ki yaadon mein doob kar unki kami mehsoos karta hai.
“Ek shaam aati hai tumhari yaad lekar” –
Yahaan vyakti keh raha hai ki har shaam aapke yaadon ke saath aati hai. Yaadon ka bojh lekar, aapke sath bitayi gayi lamhein. Ya aapki yaadon mein khoye rehna har shaam ki aadat ban chuki hai.
“Ek shaam jaati hai tumhari yaad dekar” –
Is line mein vyakti keh raha hai ki har shaam jab khatam hoti hai. Tab bhi aapki yaadon ka ehsaas hota hai. Yaadon ko sath lekar, vyakti raat ko bhi aapke khayalon mein vyast rehta hai.
“Par mujhe to us shaam ka intezaar hai, jo aaye tumhe apne saath lekar” –
Is line mein vyakti apni umeed ya khwahish vyakt kar raha hai ki woh shaam ka intezaar kar raha hai. Jisme aap vyakti ke paas ho, aapke saath lamhe bita sake aur aapke sath khushiyaan baatein.
Yeh shayari dil se nikli hui bhavnaon ko vyakt karti hai. isme vyakti apne pyaar ya khaas insaan se milne ki bechaini aur unki yaadon mein kho jana chahta hai.